Raahi Na Honge
Yaad aati rehti hai teri in kashish bhari raaton mein,
Pata nahi kya hai teri in muskaton baaton mein,
Chahta hu yeh hriday arpit karna tere haathon mein,
Bus chale to beecha do yeh phool teri raahon mein.
Nirjal jharna behta rehta aviral in raaton mein,
Ashru purnit hriday pukar pukar kehta,
Ki tum kya mere kabhi na hoge?
Kya hurdum raah par shool hi honge?
Ishwar ki baatein to karna bemaani ho gaya,
Shayad ishwar bhi sochta hoga ki yeh srishti kyun sazai,
In logon ke jeene ki raah dushkar kyun banai,
Agar har vastu asaani se mil jaaye to mulya kya samjhoge,
Vippattiyon mein padkar hi kum se kum ishwar ki yaad to karoge.
Kum pal hi kyun hote sadaiv khushiyon ke,
Kyun virah vedna hoti hai is jeevan mein,
In prashno ka uttar main na jaan paaya,
Asatya ko satya se bhed na paaya,
Dikhta hai ghanghor andhkar,
Kehta ye baar baar ye mun ahankar,
Jald hi duniya badlegi,
Sab wapas lautenge,
Hriday khushiyon ki baatein karenge,
Saari raahein hongi asaan,
Bus raah par chalne ke liye raahi na honge....................
Bus raah par chalne ke liye raahi na honge....................
No comments:
Post a Comment