Saturday, July 15, 2006

Atal Satya

Silsila Chala aa raha hai fursat ka,
Kshan kshan beet rahein hai ulfat mein,
Kal kya kiski firkat hogi,
Jaanein ab meri kya kismat hogi.

Kya rin rin dhan ho paayega,
Jaatein Jaatein lagta hai hriday bhar aayega,
Shayad longo ko har taarf neer dikh raha ho,
Na jaane kyun mujhe yeh vish ka ksheer lag raha hai.

Chandrama badra mein chup gaya hai,
Lagta hai koi apna gum gaya hai,
Chandrama to sadaiv se hi nirvakar hai,
Jaanein kyun mere hriday mein hi andhkar hai.

Cheezein na ho paati aasha ke anuroop,
Lag raha hai ki srishti badal rahi hai apna roop,
Chandrama roshan hone ka prayas kar raha hai,
Mera hriday jaane kya kya kayas kar raha hai.
Baadlon ke hatne ki chanrama aas lagaye baitha hai,
Mera hriday jaane kya kya pyaas lagaye baitha hai.

Tujhe jab shurwat ka ant pata tha,
Us samay tu logo ke liye sant bana hua tha,
Itna daridra to tu bhi nahi ki kuch de na paaye,
Pur woh kya de jiske paas sab kuch hote hue bhi kuch na bach paaye.

Kasht ke aise jhanjhwat mein fans gaya hu,
Ab to lagta hai ki kasht ka ehsaas bhi bhool gaya hu.
Har panchi ka ek ghonsla hota hai,
Par mera is duniya mein koi bhi kyun nahi hota hai.

Yeh andhkaar ki raat kab jaayegi,
Kab is dharti pe surya ki lalima chayegi,
Lagta hai jeevan se fursat ho gayi ho gai hai,
Hurdum dil ko teri jaroorat ho gai hai.

Syaah kothri mein apne ko paata hu,
Phir bhi apne dil ko hansata hu,
Lagta hai jo shuru hua tha uska anjaam ho gaya hai,
Jeevan bhar ke liye dukho ka intezaam ho gaya hai.

Kisi se apne gum baant bhi nahi sakta,
Kisi se thodi khushiyan chaant bhi nahi sakta,
Jaanein kab yeh haiwaan soyega,
Lagta hai duniya mein sab kuch khoyega.

Khel khelte samay hriday majboot tha,
Par is khel ka nirnay atoot tha,
Daanv pe apna sab kuch lagaya,
Par shayad tere haath mein kuch na aaya.

Unsuljhe jeevan ko darpan mein dekhta hai,
khel ko jeetna samaprpan mein samajhta hai.
Haathon ki rekhaye badli nahi ja sakti,
Jeevan ki baahein sameti nahi jaa sakti.

Kya kuch ho paayega asha ke anukool,
hriday sab kuch jaata hai bhool bhool,
Agni prajjwalit ho rahi hai yagya ke liye,
dheron prashn mere paas hai hul karne ke liye.

Itne door nikal gaye hai ki ab laut bhi nahi sakta,
Mun ke udgar kisi se baant bhi nahi sakta,
Atal satya lagta hai ab hamesha yaadon mein rahega,
Kabhi socha na tha ki jhooth bhi atal satya banega.
PAAP

Paap Kar sako to kar lo,
Jeet sako to jeet lo,
Jo kuch mutthi mein sama paayega,
Pur kya yeh insaan roshni pakad paayega.

Paap ka badha hua hai maan,
Shayad isi mein main samajhta hu apni shaan,
Chul karna kya paap hai?
Agar vyakti ka hriday saaf hai.
chul karke kab tak jaa payoge?
Kitna bhoj apne seene pe uthaoge?

Raat syaah hone lagi hai,
Waqt theharne laga hai,
Udgar sheetal ho gaye hai,
Hriday bheedne laga hai,
Aansoo dene lage hai lakaar,
Kab paoge apne mun se paar.

Khud se hi pyaar karte rehte ho,
Duniya ko bejaar kehta rehte ho,
Kya kabhi vedna prasfutit hogi,
Haan par shayad tab tak der ho chuki hogi...........
Raahi Na Honge

Yaad aati rehti hai teri in kashish bhari raaton mein,

Pata nahi kya hai teri in muskaton baaton mein,

Chahta hu yeh hriday arpit karna tere haathon mein,

Bus chale to beecha do yeh phool teri raahon mein.


Nirjal jharna behta rehta aviral in raaton mein,
Ashru purnit hriday pukar pukar kehta,
Ki tum kya mere kabhi na hoge?

Kya hurdum raah par shool hi honge?

Ishwar ki baatein to karna bemaani ho gaya,

Shayad ishwar bhi sochta hoga ki yeh srishti kyun sazai,
In logon ke jeene ki raah dushkar kyun banai,

Agar har vastu asaani se mil jaaye to mulya kya samjhoge,
Vippattiyon mein padkar hi kum se kum ishwar ki yaad to karoge.


Kum pal hi kyun hote sadaiv khushiyon ke,
Kyun virah vedna hoti hai is jeevan mein,
In prashno ka uttar main na jaan paaya,
Asatya ko satya se bhed na paaya,
Dikhta hai ghanghor andhkar,
Kehta ye baar baar ye mun ahankar,
Jald hi duniya badlegi,
Sab wapas lautenge,
Hriday khushiyon ki baatein karenge,
Saari raahein hongi asaan,
Bus raah par chalne ke liye raahi na honge....................

Bus raah par chalne ke liye raahi na honge....................

Sunday, April 16, 2006

Din Bhar Chalta Rehta Hu

Din bhar chalta rehta hu main,
Din bhar chalta rehta hu.............

Main ruk ruk saanse leta hu,
Pal pal nischay karta hu,
Nirjiv to kuch bhi na tha,
Phir bhi aahein bharta hu.

Sabko samajh gaya tha main,
Kuch bhi rok saka na main,
halahal gatak gaya hu main,
phir bhi vichran karta hu.

Kankar ko patthar samjha,
patthar ko samjha main phool,
Sab kuch bikhar gaya kyun hai?
Kyun ho gai mujhse aisi bhool.

Suna suna sab kuch hai,
Par har taraf mera kuch hai,
Sab kuch boojh gaya tha main,
Phir bhi uljhan rakhta hu.

Badra kariya kariya hai,
Chanda bhi to neela hai,
Taarein jhilmil dekh na paaya main,
Phir bhi roshni takta hu.

Din bhar chalta rehta hu main,
Din bhar chalta rehta hu.
Jaane kab bhatkan hogi door,
Raatein kab roshan hogi bharpoor.

Ret ke teele pe tha baitha,
Marusthal ko apna samajh baitha,
Mutthi se to ret fisal gai,
Ab main taarein binta hu,
Ab main taarein binta hu.

Din Bhar Chalta rehta hu main,
Din bhar chalta rehta hu.