Din Bhar Chalta Rehta Hu
Din bhar chalta rehta hu main,
Din bhar chalta rehta hu.............
Main ruk ruk saanse leta hu,
Pal pal nischay karta hu,
Nirjiv to kuch bhi na tha,
Phir bhi aahein bharta hu.
Sabko samajh gaya tha main,
Kuch bhi rok saka na main,
halahal gatak gaya hu main,
phir bhi vichran karta hu.
Kankar ko patthar samjha,
patthar ko samjha main phool,
Sab kuch bikhar gaya kyun hai?
Kyun ho gai mujhse aisi bhool.
Suna suna sab kuch hai,
Par har taraf mera kuch hai,
Sab kuch boojh gaya tha main,
Phir bhi uljhan rakhta hu.
Badra kariya kariya hai,
Chanda bhi to neela hai,
Taarein jhilmil dekh na paaya main,
Phir bhi roshni takta hu.
Din bhar chalta rehta hu main,
Din bhar chalta rehta hu.
Jaane kab bhatkan hogi door,
Raatein kab roshan hogi bharpoor.
Ret ke teele pe tha baitha,
Marusthal ko apna samajh baitha,
Mutthi se to ret fisal gai,
Ab main taarein binta hu,
Ab main taarein binta hu.
Din Bhar Chalta rehta hu main,
Din bhar chalta rehta hu.
1 comment:
Kya baat kya yeh tune hi likhi hai kya?
shobhit
Post a Comment